Friday, May 24, 2013

रुके से कदम



दिल की बात दिल मे ही रह जाए तो बुरा
हालात मासूम नज़र कह जाए तो बुरा

मंज़ूर है इंतेज़ार मे पत्थर हो जाएं आँखें
लुत्फ़-ए-दीदार मे अश्क़ बह जाए तो बुरा

मलाल ज़ाहिर ना कर पाओ तो अच्छा
शुक्रियादा करना रह जाए तो बुरा

खुश्क मौसम, खामोश वादी, रुके से कदम
मौजूदगी उसकी हवा कह जाए तो बुरा


ishQ
21st May 2013

Thursday, May 23, 2013

दिल-ए-बेईमान



इक उम्र बाद बैठे मेरे मकान के कोने मे
तुम्हारा ज़िक्र आएगा मेरी दास्तान के कोने मे

पलकें उठी, दिल चल दिया हसरतों के काफिले लिए
मेरी जान अटकी रही तुम्हारी मुस्कान के कोने मे

तुम्हारे लबों की आखरी जुम्बिश की इनायत रही
इक तीखापन रह गया मेरी ज़बान के कोने मे

साल गुज़रे, मौसम बदले, दीवारों के रंग उतर गये
इक फूल खिला किया हर साल बयाबान के कोने मे

अब भी नज़र झुकती है, मुस्कराता हूँ हसीन चेहरों पे
ज़रा सा इश्क़ बाकी है शायद दिल-ए-बेईमान के कोने मे


-ishQ
23rd May 2013

Monday, May 20, 2013

Tum mere liye sab kuch ho - Ma - 2013




Kisi ne kisi ko pyaar se bulaaya tto tum yaad aayi
Tumhaari hi daant yaad aayi jab kisi ki daant suni
Kuch naya mila tto laga kaash tum hoti yehaan
Kuch khoya tto pata tha tum hoti tto khoj deti

Bukhaar ho tto tum dawaa
Bijli chali jaati thi tto tum hawaa
Imtehaan ke waqt tum meri ghadi
Galti kii tto tum hi thi chhadi
Mujhe chot lagi tto tumhaara seena tha
Meri har mehnat dar-asal tumhaara paseena tha

Tumko jaane-anjaane maine bas sataaya hai
Phir bhi tumhaara pyaar badhtaa hi paaya hai
Jaane tum kis mitti ki bani ho?

Kaise tum mere saare ehsaas bin kahe jaan leti thi?
Meri har zidd tum bas yu hi maan leti thi !
aisa kabhi nahi hua ke maine kuch maanga
aur tumne la ke nahi diya
na jaane ye jadoo har baar
tumne kaise kiya?

Tum pe likhna chahoon tto likhta hi jaunga
Ruku kaise, kahaan tumhaara anth paunga?

Tumne di hai meri awaaz mujhe
Tumhaari godh mae hi mili hai har saans mujhe
Tumse hi main, meri soch, meri har baat hai
Kyonki, tumse hi meri shuruaat hai

Tum meri duniya ka sach ho
Tum mere liye sab kuch ho.






galat-fehmi



kabhi kabhi yu bhi mulaqaat hoti hai
beech ki kaamoshi hi baat hoti hai

kaanch se khwaab, moum si ummeedein
dil ki mitti pe dard ki barsaat hoti hai

kitni bhi udaan bhar le awaara dil
mutthi aata utna hi aasmaan jitni bisaat hoti hai

kuch nazdeekiyaan bayaan hoti hain yu
qaatil ke haath hi jaan-e-hayaat hoti hai

kisi galat-fehmi mae mat rehna “ishQ”
har kahaani ki intehaan ik nayi dastaan ki shuruaat hoti hai

Aakhri rukhsat




Barsi yu baarish bhar gaya dil mera
Garje baadal darr gaya dil mera

Humne tto issi bharose kuch na kahaa
Tere pass nahi tto kidhar gaya dil mera

Aakhri rukhsat pe tumhe chhodha uss mod tak
Jahaan talak gayi meri nazar gaya dil mera

Jo kabhi hua nahi usae bhi haqeeqat maan loon
Aaj tumhaari badaulat seekh ye hunar gaya dil mera




Ik baar chchoonae do mujhe…




..

unse tto kuch kahaa na gaya
par humse chup raha na gaya
vo chuppi saadhe dekha kiya mujhe
unki muskaan ne yun tto ishaarae diya mujhe

jaane kya baat dabaaye baithae thae hothon talae vo
durr kar denge khud se lagaa kabhi; kabhi jaise ab lagaa lenge galae vo
machal ke sambhalna unka, mere sabr ka intehaan tha
kaanpti ungliyaan, sookhae honth, unki saanson ki ravaani
dil hota ja raha be-imaan tha....

khuli zulfein udd rahi thi unke gaalon ko sataate huye
kuch tto kumi thi nazaaare mae, sab kuch nazar aate huye
shaam ki halki laali jaate huye unki soorat nikhaarti jaa rahi thi
hawaa, baadal, taare sabko shaayad mujhpe hansi aa rahi thi

unke suroor mae, haale-e-dil-e-majboor mae
kar diya bayaan humne sab iss firaaq mae
ke aaj nahi tto fir kabhi na ho paaega
“ishq” bekhud aur dil beqaraar hi reh jaaega

Ik baar chchoonae do mujhe
bas ik baar chchoo lo tum kuch aise
ke fir na bhej paaon main aur na jaa paao kabhi durr mujhse tum
aati rahae mujhse khushboo tumhaari daer talak

-ishQ
6th May 2013

Thursday, May 02, 2013

Doori


Na jaane kis baat pe hai itna guroor aaj kal
Dil bewajah hai bada masroor aaj kal

Zaroori nahi ke har baat mae uska zikr aaye
Har baat ka sabab hai vo zaroor aaj kal

Uski kashish ki zanjeeron ne yu jakda hai dil ko
sar apne le raha hai saare ilzaamoon ka qusoor aaj kal
 
Jab chaahoon baarish, sard hawaaein chalti hain mere ishaare pe
Koi aarzoo nahi haqeeqat se durr aaj kal

Bekhabar meri chaahat se ya ruswaai ka dar hai usko
Issi sawaal ne kar rakha hai ishq ko majboor aaj kal


ishQ
2nd May 2013