Thursday, November 12, 2009

Maein Hoon Aur Tum Nahi


Zaroori nahi har baat ka sabab ho koi
Par muskuraane ka koi bahaana nahi hota

Voh intezaar mae hai aur mera raqeeb mere saath
Yun toh koi bhi yaaraana nahi hota

Voh rehta nahi ab uss gali toh kya hua
Ab humaara waise bhi kahin jaana nahi hota

Majma hain, suhbat hai, maein hoon aur tum nahi
“Ishq” ka isse bada koi veeraana nahi hota


ishQ
12th Nov 09

Monday, November 09, 2009

Aatish


Hawaa toh chalti hai magar, ek patta bhi hilta nahi
Jis din voh milta nahi, koi ek gul kahin khilta nahi

Arsaa ho gaya chot lage zehen-o-dil pe
Zakhm bharta nahi aur dard isko silta nahi

Tu mere saamne hai aur main iss soch mae hoon
Kyon ab tu mujhe aa ke milta nahi

Aaj barso mae utha toh hai dhuaan lekin
Chingari ho bhi par “ishq” ka aatish jalta nahi

-ishQ
9th Nov 09


Thursday, October 15, 2009

Dagar


Khushboo ki tarah aaye aur jhokon ke ho gaye

Manzil ki talaash mae rastae bhi kho gaye

Hum unse kuch kehtae gaye, voh kuch aur samajh baithe

Kuch suna, thoda samjhaa aur baaki mae ro gaye

Hum intezaar mae thae ke voh aaenge laut ke

Aankhein jagi thi raat bhar par ehsaas so gaye

Voh ‘ishq’ ki dagar chale aur chaaha bhi toot ke

Jaane khushi ya dard ke par aansoo dubo gaye

ishQ

14th October 2009

Monday, September 14, 2009

Mua'yyid

dil udaas ho toh voh yaad aata hai
khushi ki mithaas ho toh voh yaad aata hai

yun toh safar mae musaafir milte hain bahut
jab humsafar ki baat ho toh voh yaad aata hai

ik hawaa chalti hai aur pardaa udh jaata hai
phir khushboo aati hai toh voh yaad aata hai

tooti khidhki ka sheesha, puraane paed pe nishan
guzarta hoon uss gali se toh voh yaad aata hai

mulaqaaton mae yun toh beet jaata hai aam din
jab saath chahiye ho toh voh yaad aata hai

“ishq” ke dil-o-dimaag ab issi mua'yyid mae rehte hain
shaayad tujh-se hi kisi shaqs ko dost kehtae hain


ishQ
14th September 2009

mua'yyid – corroborative confirmation

Thursday, July 16, 2009

Sawaal



dil kuch yun behel jaata hai aaj kal
apne hi sawaal pe sambhal jaata hai aaj kal

mehboob ka na gam hai na raqeeb ki dastaan
rashk bhi rahm mae badal jaata hai aaj kal

mere salaam ka intezaar rehta tha jisko
voh nazar bachaye nikal jaata hai aaj kal

gayaer ko bhi galae laga ke kiya hai tasleem humne
apnon ko ghar bulaane mae “ishq” dehel jaata hai aaj kal


- ishQ
16th July 2009


behel – engaged / busy
raqeeb – competitor
rahm – sympathy
kufr – infidelity / profanity
gayaer – stranger
tasleem – salutation / welcome
dehel – fearful

Friday, June 26, 2009

ishtihaar

uthi ragon mae aaj phir kaisi yeh raftaar hai
khud lahoo hi ban gaya kaat-ti talwaar hai

hothon pe ik mukhtasar si muskaan aati hai nazar
aur aankhon mae ruka huya ashq-e-israar hai

yun phir aane ka koi toh sabab hoga zaroor
tujhe ho na ho tere jaane ka mujhe shumaar hai

zabaan pe aa ke ruki ik baat phir koi aaj
ishQ apne maazi ka khud hi ishtihaar hai


- ishQ
26th June 09

raftaar – speed / pace
talwaar – sword
ashq-e-israar – a stubborn tear (holding from falling)
shumaar – count / account
ishtihaar –advertisement / notification

Thursday, June 25, 2009

Soch

tu kahaan, teri deed kya
kya tishnagi, aur umeed kya

zindagi ke baazaar mae sauda koi kaise karae
muft hai soch meri, daam kya, khareed kya

dil hai mayoos mujhse, dil se main pareshaan hoon
poochte hain ek doosrae je honge kabhi mufeed kya

uskae jaate hi andhera sa maahaul ho jaata hai “ishq”
koi farak nahi abr ho, ya badr kya, khursheed kya

- ishQ

25th June 2009



deed – sight / look
tishnagi – thirst
daam - price
khareed - purchase
abr – cloud
badr – full moon
khursheed – sun
mufeed – useful/profitable

Sunday, May 03, 2009

subah toh honae de

na rokunga tujhe chale jaana, subah toh honae de
bas yehi hai ik bahaana, subah toh honae de

bhar denge iska bhi jurmaana, subah toh honae de
tu bhi keh lena deewaana, subah toh honae de

kal bhi aaoge yeh maana, subah toh honae de
kal se hai kiska yaraana, subha toh honae de

saqi, chodh denge tera maikhaana, subah toh honae de
‘ishq’ ka waise bhi kya thikaana, subah toh honae de

voh aaega toh tu chale jaana, subah toh honae de
na-mumkin hai noor ko rok paana, subah toh honae de

-ishQ
2nd May 2009

Sunday, April 19, 2009

Inaad

kis kis inaad ki fariyaad karoon
zulf, aanchal, parde ko yaad karoon

aaj phir na deedar huya uss chehre ka
kis mukhde se aaj irshaad karoon

rangeen hijaab mae jo sarbastah hai
kaise dil-e-asir ko usse azaad karoon

kab tak ik aks naaib rahega uska
kab tak “ishq” ki muraad karoon

- ishQ


inaad – enmity / hostility
fariyaad - complaint
dil-e-asir – prisoner heart
naaib – deputy / substitute

Sunday, April 12, 2009

Chaah Nahi Karta....

aa jaaye na taras tujhe meri tabdeeli pe
issliye teri gali ki maiin raah nahi karta

meri nisbat se mera raqeeb mayoos na ho jaaye
yeh soch kar main tujhe rusvaah nahi karta

behosh nahi honae deti din ki roshni
aur shab ko kambakht maah siyaah nahi karta

kuch hain jee rahe hain iss be-khayaali mae
ik ‘ishq’ hi hai shaayad jo teri chaah nahi karta


ishQ

Nisbat - comparison

Maah - Moon

Wednesday, January 21, 2009

Aaraaish

voh kehte hain yeh jhooti numaaish hai
isi mae toh zindagi ki aaraaish hai

hum voh bhi sunenge jo kehna hai mushkil
tabhi toh mohabbat ki aazmaaish hai

khud hi samajh ke le baithe ho ranjish
poocho toh humse kya farmaaish hai?

shaayad na ho poori jo bhi hai dil mae
harj kya hai “ishq” ki agar khwaaish hai?


numaaish – display
aaraaish - beauty
aazmaaish – experiment
ranjish - grievance
farmaaish - request
khwaaish - desire

-ishQ

Saturday, January 10, 2009

Peshaah


ik thokar ke baad phir jeene ka saleeqah mila hai
tere jaane se tujhe phir paane ka mauqa mila hai

be-hadd mushkil ho raha tha kehnaa tujhse
iss takraar mae ikraar ka ik tariqah mila hai

na ronae ki wajah na hansne ka bahaanah ho
ishq hi ik aisa paak peshaah mila hai

ishQ

10th Jan 2009