Tuesday, October 23, 2007

Nayi Shuruaat


Jab dagar nayi hai toh nayi shuruaat karo
Zaif-e-maazi beet gayi nayi baat karo


Tum benazir ho tum par khudaa ka saaya hai
Khush raho aur mayoosi ko maafaat karo

Ab jo muskuraaye ho toh bahaar aane do
Tabbasummi din aur raunaq-e-raat karo

ishQ
23rd October 2007
(A dedication to one of my friends on her B'day)

Sazaa


Tujhe pyaar karne ki yun khud ko sazaa deta hoon
Main khud se muh modh leta hoon

Tujhe bhulnae ki koshish karta hoon main tamaam waqt
Phir main voh koshish bhi chodh deta hoon
Main khud se muh modh leta hoon...

Tishnagi hadd se guzarne lagti hai kabhi kisi roz
Main intezaar-e-himmat phir se todh leta hoon
Main khud se muh modh leta hoon

ishQ

23rd October 2007

Tishnagi – thirst, desire

Monday, October 08, 2007

Tanhaayion ka ilm

Suna hai mera ik raqeeb ban gaya hai
Suna hai mujhe voh bhulaanae lagae hain

Mujhe ilm tha Tanhaayion ka humesha
Par ab khaamoshiyaan bhi sataanae lagae hain

Chalo ab toh Ghar ka Rukh kiya jaae
Yehaan Shaad Chehrae Nazar aanae lagae hain

Main apno ko Bhool jaane lagaa hoon
Aur Bhoolae huye shaQs Yaad aanae lagae hain

-ishQ
8th Oct 07

raqeeb – competitor
ilm – knowledge/aware
shaad – happy/joyous

Thursday, September 27, 2007

Abr-O-Sukhan

Bataaye koi mujhe, Koi toh Baat hai
Na chaahte huye, Voh mere saath hai

Milta tha mujhe khul ke Dil-o-Jaan se
Aaj Befikri mae bhi kissi Fikr ka ihtiyaat hai

Chal paDhi hai Hawaa uss aur se Bezaar si
Abr-O-Sukhan ke Baad honae ko ab Barsaat hai

Tu kya, Teri baat kya, Tera intezaar aur Tera Saath kya
Khursheed ki Tapan hai tu siYaah Sard Raat hai

- ishQ
27th September 2007

Ihtiyaat - Caution
Bezaar - Dry/Displeased
Abr-O-Sukhan - Debate among clouds
Khursheed - Sun
Tapan - Heat
siyaah - Dark/Black

Wednesday, September 12, 2007

Darkhawaast

Jab uth ke jaaenge duniya ki mehfil se
Bas yehi arzoo nikalti hai iss dil se
Koi na bahaaye ek aanso bhi iss shaqs pe
Par bhoolaaye mere aks ko badi mushkil se

Takraati hai har saans iss tarah yaad se
Aandhi mae maujon ki bheedh jaise saahil se

Main roya nahi ke malool-e-aalam na ho
Voh jaa milae mere hanste muqaabil se

Darkhawaast bas yehi hai ke jab zindagi ki shaam ho
’ishQ’ ka thoda hi sahi par kuch toh naam ho
-ishQ; 12th September 2007

Monday, May 28, 2007

Bazm

Reflection

Kal, aaj aur kal Zindagaani nahi Badalti
Kirdaar badal jaate hain kahaani nahi Badalti...

Jo meri Zindagi hai voh tumne bhi guzaari hai
Jo Dard tumhara hai vo hi chot humaari hai
Waqt badalta hai, uski Nishaani nahi Badalti...


Jab dil bhaari ho toh AshQ halka kar dete hain
Pyaar ka izhaar Galae lag ke kar lete hain
Arz badal jaata hai Zubaani nahi Badalti...

Yakeen ka ho Qatl ya Rishton ka bad-anjaam
Bazm ho koi bhi, Veerani nahi badalti...

-ishQ
15th May 07

ishQ ka Muqqadar

raeth na hota toh samandar nahi hota
subah ki oas sa koi manzar nahi hota

khwaab nahi hotae toh hum haasil kya karte
deewangi ki dehleez ka koi dar nahi hota

ban jao haakim jeet ke zameen ke tukdae
dil ke tukdae kar ke koi sikandar nahi hota

duniya ko waham hai ke yeh kismat ki baat hai
ishQ khuda hai, iska koi muqaddar nahi hota


Kanishka
4th April 2007

Sunday, March 25, 2007

Itminaan

Qeemat lagaani ho tho lagaa apni Jaan ka
Kuch nahi miltaa kisi aur ki Jaan se

Utha chuka bahut ab Haath baDha kisi ki taraf
Ab ke baar Awaaz aayi Aasmaan se

SikkoN mae tholtaa hai kya Zindagi ko tu
Kya kharaa hai kisi ke imaan se

Zindagi jeene ka hai ik hi kaayda
Har Imtihaan ko le itminaan se

Umr bhar jo ‘IshQ’ ko mashhurr karte rahe
Ghooma kiyae sar-e-raah Voh Badnaam se

Cheers
ishQ
13th March 07

Monday, January 08, 2007

Daanish

Har rishate ki yun Aazmaiish hoti hai
Kabhi Wafaa tho Kabhi Khwaaiish hoti hai
Zindagi ki Nazm ka Lutf yehi hota hai
Mere Alfaaz hotae hain tumhaarii Bandish hoti hai
Kaun kehta hai ke jeenae ka kya Faaiida’h
Har mulaqaat kisii Ajnabee ki Daanish hoti hai
Mitti kabhi kisii ko dhoka nahi deta ‘ishQ’
Har saal Sookhae ki wajah pichlii Baarish hoti hai
- ishQ
8th January 2007
Bandish – composition
Daanish – knowledge / learning