Friday, December 19, 2008

Yaktaa

na jaane kyon voh mujhse khafaa hai
kuch toh hui mujhse jafaa hai

lafzon ke darmiyaan khamoshi hai jo yeh
alfaaz ya koi khamoshi hi iski wajah hai

na voh poochtae hain, na mujhe ilm hai koi
bada figaar sa yeh khamosh istifaa hai

aaj imaan ki imtihaan hai shaayad ‘ishq’
yaqeen hi yaktaa ik teri qazaa hai


- ishQ
19th December 2008

jafaa – oppression / injustice
fazaa – lament / depression
figaar – wounded / sore
imaan – conscience / beliefs
yaqeen – trust / certainty
yaktaa – only / incomparable / unique
qazaa – destiny / fate

Thursday, November 27, 2008

Fitnah

uljhanon se yeh toh saaf hai
jazbaaton mae kahin koi itlaaf hai

ik taraf ik fitnah ki aarzoo hai
ik taraf kisi se karna insaaf hai

gumaan hai mujhe kuch ajeeb sa
phir kyon tujhpe itna itraaf hai

tang hai yun toh waqt ki tars
‘ishq’ ya dil ke ya khud ke khilaaf hai

ishQ
28th Nov 08

fitnah - temptation
tars - pity
itlaaf – decay / loss
itraaf - extravagance

Sunday, November 16, 2008

Na Jaane...

na jaane kyon itna guroor aa gaya hai
na jaane kahaan se yeh noor aa gaya hai

koi vajah nahi na kisi ka intezaar hai
na jaane kyon itna suroor aa gaya hai

deedar aankhon ka aur talab umr ki
na jaane kyon dil pe qusoor aa gaya hai

naam lene lagae hain mera sar-e-mehfil
raqeeb “Ishq” ka koi mashhoor aa gaya hai



ishQ
16th November 2008

Monday, October 27, 2008

Shuoor


hawaa ki thandak se yeh tarjumaan ho raha hai
phir koi jazbaat jawaan ho raha hai

jispe yaqeen tha ke jo na-mumqin baat hai
kuch roz se na ho jaaye yeh gumaan ho raha hai

yeh nahi hai ke main durr hoon ussae magar
beech ki khamoshi se faasilah bayaan ho raha hai

shuoor se karte thae apne dil par kabhi qaaboo
‘ishq’aaj uss fahm se be-farmaan ho raha hai

-ishQ

27th Oct 08

tarjumaan – interpret/interpreter
shuoor – intellect/understanding

fahm - logic

Friday, July 25, 2008

Hijaab

na jaane kis cheez ka hisaab rakhoon,
zehen ki karvat ya lafzon ki kitaab rakhoon

ho jaaye na rusvaa voh mere aks se
aage aaiina ya chehre pe naqaab rakhoon

yeh toh socha na tha aazmaate waqt
kaante bhi chubhenge daaman mae jo gulaab rakhoon

‘ishq’ hai humae aur izhaar-e-nazm hai yeh
kyon qaatil-e-mehboob se hijaab rakhoon


-ishQ

25th July 2008

Saturday, July 19, 2008

Sookhi Daali

aankhen bhari aur dil khaali hai
bheegi hawaa sookhi daali hai

din be-rang guzar jaata hai
raat andhere se bhi kaali hai

lamhaa ruka hai ek ishaare ko
saanso mae zindagi guzarne waali hai

ishQ
19th July 08

Monday, June 23, 2008

Saans

Jazbaat dabaata hai koi, huuk kisi ki uthti hai
kisi ke ishaare pe, aankh kisi ki jhukti hai

Dono taraf ki dastaan kuch yun bayaan hoti hai
dafn hota hai koi, aur saans kisi ki rukti hai

Umeed ka daayra kuch yun simat raha hai
shaam hotae hi shamaa kisi ki bhujhti hai

- ishQ
23rd June 2008

Wednesday, April 16, 2008

Afwaah


meri baat jo thi ek salaah ki tarah
mere raqeeb ne suna kisi afwaah ki tarah

dard ke maare sookh gayae hai jism-o-lab
dua bhi nikaltii hai kisi aah ki tarah

har baar maine intezaar kiya subah honae tak
voh nahi aaye humeshaah ki tarah

‘ishq’ teri mehfil mae aaye hain log yun
sar-bastah kar rahe ho kisi gunaah ki tarah

-ishQ
16th April 2008

Thursday, April 10, 2008

Mausam


yeh shururaat hai tu mere saath toh chal
tujhse, na mujhse akela katega ek bhi pal

tu humsafar hai toh aaj haseen hai mera
tu rahega toh fikr-e-anjaam nahi mujhe kal

‘ishq’ ki hawaa hai udhar jidhar ko hai rukh humaara
aa chale saath aur de mausam ko badal

- ishQ
11th April 2008

Tuesday, April 08, 2008

Qaidi


Na kisi bandish mae main rehtaa hoon

Koi waaqif ho na ho main kehtaa hoon

Meri aankhon mae tumhaari tarah nahi paani

Zakhm koi bhi de main sehtaa hoon

Qaidi nahi main chaar deewaron ka

Jo rukh ho hawaa ka main behtaa hoon

Pehle bhi kahaa hai phir kehtaa hoon

‘Ishq’ jahaan hai wahin main rehtaa hoon

-IshQ

8th April 2008

Monday, March 24, 2008

Guzar Gayi...


ek din, ek shaam, ek raat guzar gayi
aankhon ke aage har baat guzar gayi

yeh kaafi nahi tha shaayad ke aaye jabeen pe paseena
bheego ke sar se kadam tak barsaat guzar gayi

tishnagi rahi ek umr bhar humae
daaman bhigo ke yun toh aab-e-hayaat guzar gayi

hum rukae thae ke voh aaega saath saath
zindagi meri mujhse be-mulaqaat guzar gayi

- ishQ

jabeen – forehead
aab-e-hayaat – drink of life