Thursday, December 07, 2006

Fitrat

Humsafar hotae hain Sirf Safar ke liye
Kisi kii Manzil hum chuntae nahi

Aabaadiion ke shor mae hum
Aksar khaamoshiyon ki awaaz suntae nahi

Daanistah duniya kii fitrat ko ‘ishq’
Sabko doston mae Gintae nahi

-ishQ
8th Dec 2006

Daanistah - knowingly

Tuesday, December 05, 2006

Na Dhoondha Karo

Apne Sawaalon mae humaara Jawaab na Dhoondha karo
Dil kii baaton ka Zehen-e-Hisaab na Dhoondha karo

Har din guzarta hai apni Tapish liye
Har din ka tum Aftaab na Dhoondha karo

Har Chot ka Daag hota nahi jaise
Har Taasir ka tum Asbaab na Dhoondha karo

Jugnu sa zindagi ka har pal hai ‘íshQ’
Aankh khultae raat ka Khwaab na Dhoondha karo



-ishQ5th Dec 2006

aftaab - sun
taasir - effect/impression
asbaab - motive/cause

Sunday, December 03, 2006

Guftgoo

Yeh Zakhm, yeh Dard kahaan chupa rakha tha
Kyon ab tak Dil mae Dabaa rakha tha
BaaNtoge Gam tho Zaraa kam hoga
Guftgoo hi Zakhm ka marRham hoga

YuN hi chupaaoge Haal-e-Dil kab tak
Khamosh baithogae sarae mehfil kab tak
Kab tak VeeraN Dil-e-Anjuman hoga
Guftgoo hi Zakhm ka marRham hoga

Muskurao Soz pe khulae dil se
Nazar aate ho Kyon Bismil se
Jab tak rootha tera sanam hoga
Guftgoo hi Zakhm ka marRham hoga

IshQ
1st Dec, 06

Wednesday, November 29, 2006

Jaane Anjaane

Mera sanam Bada najeeb hai
Uska Dard mere qareeb hai

HaunsloN ko hawaa dena phir toDh dena dil
MuddatoN se chali aati jaane kiski tarQeeb hai

Apne hi Qatil ka Himaayati hoon main
‘ishQ’ tera yeh Qaaeda bhi ajeeb hai

Jaane anjaane Dard deta voh mera habeeb hai
Jaane anjaane meri khair leta voh mera raQeeb hai


29th Nov, 2006

Friday, October 27, 2006

jo...

Jo mil gaya Voh apna hai
Jo tha hi nahi mera uska kya gam
Jo khil gaya Voh sapnaa hai
Jo khul gayi Aankhen tho kar gayi aankhen num

zaaya

Sawaal ka Jawaab sawaaloN mae dete ho
Tumhe muJh par Bharosa nahi ya Khud par….

Reh reh kar SisKiyon si saaNs lete ho
Kaun Roshni deta hai yun buJh kar…

Tumhe gam hai ke uMr ja rahi hai haaThon se
Ek zindagi hai ussae Jio uTh kar….

Mujhe nahi parVaah meri, tum kyon roti ho
Mat karo Zaaya apni zindagi muJh par

Tuesday, September 05, 2006

ae mere humsafar, jaa Kahin bhi maGar
shaam ko lauTna apne ghar
aur jo kabhi daer ho jaaye agar
intezaar karoonga tera dar par

thaQ ke jab tu waapas aaega
tamaam din jo beetii tere saath mujhe sunaaega
haathon mae liyae haath baithenGe aur
chumoonga main tera maatha baahon mae le kar….

muddaton si lagti hai shaam se raat ka dau’r
tujhe dekh kar hi sambhaltaa hai dil ka tau’r
pyaar bae-intehaan karoon main tujhe
saari Duniya se ho bekhabar….

beeTh jaaegi raat aur dHal jaaenge din
guzar jaaegi zindagi jaise ek din
na waQt ka sira hoga na duniya ki fikar
mere saath tu rahe jo yuhiin uMr bhar…

ishQ
7th Sept 06
Main akela hoon, Dil tanhaa hai
hum bheeDh mae kisi hiSaaB mae hain
main Sawaalon ki shuMaar mae hoon
dil JawaaBon ke saiLaaB mae hai

aazmaate hain apni TaQdeer har mehfil mae
utarne ki Koshish hai kisi ek dil mae
jaagi aankhon mae bhi aaj kal
hum uskae khwaab mae hai…..
…..dil JawaaBon ke saiLaaB mae hai…

VeeraNiyon mae khamoshiyon ka shor hai
HaaThon se chuTthi uMeed ki Dor hai
ashkon se jalti hai Aag Diyon mae
aur Aai_naa khud apne ru_aab mae hai
…..dil JawaaBon ke saiLaaB mae hai…

hum mae voh hunar nahi ke chupa lae_n aansoo apne
hiSaaB karta hoon jab main justajoo apne
Aansoyon ka anjuman hai mere daaman mae
Mera sukoon jaane kis hijaab mae hai
main Sawaalon ki shuMaar mae hoon
dil JawaaBon ke saiLaaB mae hai…

ishQ
4th Sept 06

Tuesday, August 29, 2006

kuch lamhe jab Main apne Saath hota hoon....

Shaayad ab ke baar banegi koi Misaal
Kuch yuN beeta mera ek aur Saal
Kuch shaQs banae zindagi ke dost

Kuch haaDse ho gaye umR bhar ke malaal

Thodae ghar LuTae, Kahin Veeraniyaan bas gayee
N
Har saal ki tarah Vahi rahaa khaBron ka haal

Paani ke gubaar mae sab beh gaya magar
Paet ke liye voh aaj phir BuNtaa hai apna Jaal

Jawaab miltae rahe Pichle saaloN ke yeh saal

uTHaatae raha apne Naye sawaal

ishQ
2nd January 2006

*********************************************************

garm hai hawaa paR shamaa jaltii nahii
umR si lambii yeh shaam Dhaltii nahii
waqt ka kaaNtaa raftaaR pakDe hai

saansoN ki laDii par ek si chaltii nahii

haR roz uTh kaR angDaai leta huun

yeh din kabhi apni aakheiN maltii nahii

yuuN to zamaane mae kabhi naam na hua‘ishq’

hua badnaam paR uskii koi galtii nahi

ishQ
15th December 2005

**********************************************************

Maey mae voh baat nahiN ke kiye madhosh chalaa jaata hai
Par uss ke maikadae mae aate hi mera hosh chalaa jaata hai
Kuch tho hai mere sanam mae sabse judaa

Uske nikaas se saara josh chalaa jaata hai

Uski bewafaaii ka gumaaN nahiN tha humein
Kabhi mere raqeeb ki ore uska gosh chalaa jaata hai

Chalaa jaata hai dil uski ore be-baat hi
Maikadae ki ore ‘ishq’ khamosh chalaa jaata hai

ishQ
9th December 2005

********************************************************

Tere aane ki baat pe kuch yun ho jaata hai
Ek lamha zindagi ka kahin kho jaata hai
Dhadhkan tez ho ke ruk jaati hai
Tere sajdae pe yeh nazar jhuk jaati hai

Koi bhi aahat ho nazar daudti hai tere didaar ko
Phir mayoosi se dekhti hai khaali diwaar ko

Phir aaya ek hawaa ka jhonka unki khushboo liye
Phir baithe thae hum dil mae aarzoo kiye


Dil mae tamanna aur aankhon mae intezaar tha
Hothon pe unka naam zehen mae khumaar tha
Voh phir na aayae aur intezaar kaayam raha

Aankhon mae nami rahi aur dil mae gam raha

Par humae yeh yakeen tha voh aaenge ek din
Na main reh saktaa hoon aur na voh mere bin
Ek din phir achaanak aapki khabar aayi
Nazar phir daudi aur dar se laut aayi

Phir main diwaar ka rang utaarne lagaa
Thodi thi umeed ussae bhi haarne lagaa

Aur phir aapki awaaz aayi mere kaano mae
Jaise koi phool khila veerano mae
Phir dil ki dhadhkan tez ho ke ruk gayi
Phir meri nazar dar pe jhuk gayi

Iss baar mere intezaar ki intehaan huyi
“ishq” ki saadgi ab ayaan huyi
Tere aane se ghar phir se roshan ho gaya

Har shaqs mere liye jaane-e-man ho gaya

Har pal dil se mere ab nikalti hai bas yehi ek fariyaad
Aur kuch na chahiye tha tere aane ke pehle
Aur kuch na chahiye tere aane ke baad

ishQ
11th Nov 2005

*********************************************************

Yaad aati hai mujhe teri ab bhi kabhi kabhi
Hota hoon jab main tanha ab bhi kabhi kabhi
Hawa ab chalti nahi mere aangan mae
Teri khushboo aati hai ab bhi kabhi kabhi

Mujhe jo jaanta ho aisa koi nahi sheher mae
Bulaati hai ek sadaa mujhe ab bhi kabhi kabhi

Hansta bhi nahi hoon aur rona bhi nahi aata
Bheeg jaata hai yeh rumaal par ab bhi kabhi kabhi

Main jaanta hoon tu nahi lautega ab magar
Karta hoon tera intezaar main ab bhi kabhi kabhi
ishQ
9th Nov 2005

**********************************************************

Kahin dhoom kahin dhadhaaka, kahin bam kahin pataaka
Koi nahi paraaya, iss tyohar mae har koi hai iss jahaan ka

Kya hindu kya muslim kya sikh kya isaayi
Har koi bhai bhai, kar muh mae ho mithai

Hum sabka ek hai maalik, sabka dhadhakta hai dil
Har ek ke khushiyon mae hona hai humae shaamil

Har mauka hai doston ka, na dil mae ho koi malaal
Har ek se galae milo, har gaal pe lagao gulaal

Main kehta hoon usko Ishwar, tho koi Rab hai bulaata
Har kisi ko Maloom hai par, hum sabka ek Vidhaata

Phir na jaane kyon hum khud hi apni zindagi se ukhade rehtae hain
Gar zameen na mili tho hum iss dil ke tukadhe karte hain

Aao iss eid-o-diwali ke paak aalam mae ek vaada karein khud se
Ek naya rishtaa jodenge har din, yeh iraada karein khud se

ishQ
3rd Nov 2005

***********************************************************

Har awaaz mae khamoshi ki ek daraar hai
Har jeet mae kisi na kisi ki haar hai

Jab main jeetta hoon, mere usool haar jaate hain
Har muskurahat pe puraane gubaar uth aate hain
Mera vajood mujhse hi sharmsaar hai…
Har jeet mae….

Kis kis ko bataaon main bhi insaan hoon
Har shaqs ki tarah har cheez se main bhi pareshaan hoon
Meri zindagi hi meri gunaahgaar hai…
Har jeet mae…

Kheechnti hai mujhe ek awaaz ki khamoshi
Dekhti hai mujhe jhuki aankhon ki madhoshi
Main jaan kar khud pe ilzaam leta hoon

Bhool ke bhi na main uska naam leta hoon
Meri aarzoo bas mera khayaal tho nahi

Doston ki baaton mae koi malaal tho nahi
Bas yehi soch kar har baar main ruk jaata hoon

Dil-O-Dimaag ki jung mae jhuk jaata hoon
Dimaag be-dil aur Dil bezaar hai…
Har jeet mae kisi na kisi ki tho haar hai…

Par yeh tho tai hai ke mujhe pyaar haiaur main khaamosh hoon...

ishQ
9th Sept 05

**********************************************************

Dreams Come to you, walks away
Makes you think, wildly
Comes true in a jiffy
And you start recounting… is this the same dream?
Dreams Walks past, unheard Goes a distance and shouts at you
You run and catch hold of it
Just then it vanishes in the light of the day
Dreams You share them to the one who owns it
Whisper in the ear, cuddled up together
You start thinking this was the dream
But the dream never occurred… or did it?
Dreams Just like life, happens to you at the wrong time
At the right place, with the wrong people
You decide not to dream any more…
Dreams Opens new horizons, with your eyes wide shut

Dreams Vandalizes the turn of time, to re build hopes

ishQ
26th September 2005

*********************************************************

dil udaas hota hai aaj kal jab bhi
ek tu hi nahi hai jo yaad aata hai ab bhi
ek main lut gaya, phir ghar jaata raha

aur mera maazi mujhe bekhabar bulaata raha
ab jo main apne samaan ka hisaab jodhta hoon

har baar ek tasveer ko peeche chodhta hoon
yeh jo tera naam aaya hai iss kalaam mae

rukhsat ki nazar hai mere iss salaam mae
mere raqeeb ke naam ke aage na nakaam aaye

meri tanhaayiaan kisi ke tho kaam aaye
isliye yeh dua main uske naam karta hoon

usae mashhurr aur khud ko badnaam karta hoon

ishQ
Sept 14th 2005

***********************************************************

Lambi lambi raaton mae, chotte chotte sapne
Ik kaali si chaddar pe, laakhon taare apne

Raat ke maahaul mae, baarish ka voh aalam
Tere paas rehte huye bhi teri judaai ka gam

Thehrae huye pal mae, maazi ki daud
Mehfil mae achaanak khamoshiyon ka shor

Tu main, main tu aur humaara pyaar
Main tu, tu main aur ik sheeshae ki deewar

ishQ
6th Sept 2005

***********************************************************

Main kyon likh raha hoon, mujhe kiss baat ka gum hai?
Meri kalam sookhi hai par yeh kaagaz numm hai

Kyon mujhe tu kabhi akela nahi chodhta?
Tere jaane ke baad teri yaad aaegi

Main tujhe chodh nahi sakta aur tu mujhe apnaa nahi sakta
Yeh pyaar hai ya parakh rahe hain hum apni majboori ki hadd
Tauba ki thi na kabhi todenge naaz-e-dil…

Par tere badan ki aag ne pighlaa diya saara guroor!

ishQ
2nd August 2005

***********************************************************

Its one of those days of introspection,
peeping sheepishly into my own past...

My ways, my thoughts, my decisions
Look so fake, impractical and loose today...

Should I be ashamed of myself?
There were times and there were roads
I could have made the most of so many opportunities


Did I make a blunder?
It seems I lived carelessly
There was something always which could have been done better
Do i repent on the moves I made?
Alas, its one of those days

When I peep into my past
And just like those days, today again...

I laugh at life and say Cheers!!!

ishQ
27th July 2005

************************************************************

talaash karta hoon ek aisa nazaara
thehrae huye paani mae fisaltaa hua shikaara

thandi hawaa ke saath mae suraj ki tapish ho
phoolon ke rang mae kuch aisi kashish ho
har-su mehekti ho taazgi-e-zindagi
ho mere haath mae haath tumhara…

jab shaam dhalae to aag ke saaye mae liptae huye
ek doosrae ki aagosh mae hum tum simtae huye
dekhte ho sambhaalte huye saanse apni
ek doosrae ki aankhon meiN sapna humaara…

aag ka thanda hona dheere dheere sard raat mae
aur tere badan ki baddhti kapan mere har baat mae
teri voh har na mae ek haan ki garmi
jhatak ke phir le lena mere kaandhon ka sahara...

talaash karta hoon ek aisa nazaara
thehrae huye paani mae fisaltaa hua shikaara

ishQ
26th July 2005

************************************************************

aaj phir dil mae ek leher daud gayi
ek ungli uthi aur teri ore gayi
muddaton baad aaj main muskuraaya hoon

ek hawaa chali aur mere hothon ko marodh gayi

aankhaen dhoondti hai ek badal aisa bhi
gaalon pe paani ki sookhi parchaai jo chodh gayi

aaj phir main teri woh baat yaad karta hoon
aaj phir ek aur din main barbaad karta hoon

ishQ
22nd July 2005

************************************************************

I love rains
but why does it have to ruin the newspaper in the morning?

I love pets
but why do I have to bathe them every week?

I love to eat
but when drinking, I forget everything!

I love you
but then why can't I tell U?

I tell U that I love U
But U too don’t believe me, just like everyone else??

ishQ
16th July 2005

************************************************************

Humae yuhin sataane mae rakkha kya hai?
Jab chale hi jaana hai tho aane mae rakkha kya hai?
Koi awaaz kahin durr se aati hai kabhi mere liye
Par jab ruknaa hi nahi hai tho bulaane mae rakkha kya hai?

Apni hi kehna aur sunnaa bhi tho bas sunnae ke liye
Jab roothae hi rehna hai tho manaane mae rakkha kya hai?

Dil ki baaton se mehroom khud ko aur mujhko bhi rakhte ho
Dil ki baaton ko phir tumko bataane mae rakkha kya hai??

ishQ
July 6th, 2005

*********************************************************