Thursday, December 07, 2006

Fitrat

Humsafar hotae hain Sirf Safar ke liye
Kisi kii Manzil hum chuntae nahi

Aabaadiion ke shor mae hum
Aksar khaamoshiyon ki awaaz suntae nahi

Daanistah duniya kii fitrat ko ‘ishq’
Sabko doston mae Gintae nahi

-ishQ
8th Dec 2006

Daanistah - knowingly

Tuesday, December 05, 2006

Na Dhoondha Karo

Apne Sawaalon mae humaara Jawaab na Dhoondha karo
Dil kii baaton ka Zehen-e-Hisaab na Dhoondha karo

Har din guzarta hai apni Tapish liye
Har din ka tum Aftaab na Dhoondha karo

Har Chot ka Daag hota nahi jaise
Har Taasir ka tum Asbaab na Dhoondha karo

Jugnu sa zindagi ka har pal hai ‘íshQ’
Aankh khultae raat ka Khwaab na Dhoondha karo



-ishQ5th Dec 2006

aftaab - sun
taasir - effect/impression
asbaab - motive/cause

Sunday, December 03, 2006

Guftgoo

Yeh Zakhm, yeh Dard kahaan chupa rakha tha
Kyon ab tak Dil mae Dabaa rakha tha
BaaNtoge Gam tho Zaraa kam hoga
Guftgoo hi Zakhm ka marRham hoga

YuN hi chupaaoge Haal-e-Dil kab tak
Khamosh baithogae sarae mehfil kab tak
Kab tak VeeraN Dil-e-Anjuman hoga
Guftgoo hi Zakhm ka marRham hoga

Muskurao Soz pe khulae dil se
Nazar aate ho Kyon Bismil se
Jab tak rootha tera sanam hoga
Guftgoo hi Zakhm ka marRham hoga

IshQ
1st Dec, 06