Monday, October 08, 2007

Tanhaayion ka ilm

Suna hai mera ik raqeeb ban gaya hai
Suna hai mujhe voh bhulaanae lagae hain

Mujhe ilm tha Tanhaayion ka humesha
Par ab khaamoshiyaan bhi sataanae lagae hain

Chalo ab toh Ghar ka Rukh kiya jaae
Yehaan Shaad Chehrae Nazar aanae lagae hain

Main apno ko Bhool jaane lagaa hoon
Aur Bhoolae huye shaQs Yaad aanae lagae hain

-ishQ
8th Oct 07

raqeeb – competitor
ilm – knowledge/aware
shaad – happy/joyous

1 comment:

Roamer said...

nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN abtak
barey be_aabru hokar tere kooche se ham nikle,,,


imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

Ghalib.
irshaaad.. " Mujhe ilm tha Tanhaayion ka humesha
Par ab khaamoshiyaan bhi sataanae lagae hain " nice couplets " ishQ" :)