aarzoo ka baadal bhigo ke chalaa gaya
ik aks dil ki dewaar moum ki tarah galaa gaya
sulagti nigaahon ki aanch ki tapish mae
undekhaa jhonkaa badan ko jalaa gaya
kuch din rahaa, thoda qareeb aaya
thoda hansaa gaya kuch rulaa gaya
ulfat aur junoon ki sarhad pe rootha hua sanam
“ishQ” hi hai vo bol ke jo bhi buraa bhalaa gaya

No comments:
Post a Comment